Jahan yeh saara ajnabi hai kis ne isey pehchaana hai
Ja
Jahan yeh saara ajnabi hai kis ne isey pehchaana hai
Aayena sab ke hai mukhatib kis ne isey jaana hai
Zaat khuda ki to apni hai, la saani aur woh munfarid
Sab ka Rab hai ek per kis ne yeh kabhi maana hai
Likha bahot hai tu ne ‘sahil’ kis ne kuch padha hai
Fikr nahin hai mujhko yaro abhi baqi bahot sunana hai
Kis ne kab puchha bulbul se ja kar chaman men kabhi
Bata, ai chidiya, naghma tu ne kitna aur gaana hai
Sada e dil ki baat hai bas, dhadkan us ki kis ne roki
Jaanti hai woh sada khub, ik din sab ko jaana hai
Ashok sawhny ‘Sahil’