Story/Poetry

Zindagi kya hai

Dil ne mohlat na dee
Hangaamon ne fursat na dee
Hum kya karte ‘sahil’ bata
Jab saanson ne aur ijazat na dee

Pa ba jaulaan nahin hai hayaat
Per muqarrar hain sab din o raat,
Maana ke na samajhni mushkil nahin
Lekin, pecheedah zurur hai yeh baat

Aazaadi bina paabandi nahin hoti
Zulmat na ho to tabindagi nahin hoti,
Khuftah ho zameer to sochiye zara
Nadamat o sharmindagi nahin hoti

Falsafa , falsafa nahin haqeeqat bayaani hoti hai
Zindagi to har insan ki apni kahani hoti hai,
Dastaan goi samjhiye, ravaan manind e darya
Magar dil ki dhadkan to zurur la saani hoti hai

Ruk jaaye to band kitaab hai
Bin unwaan bin hisaab hai,
Baargah e maula to haazir hona hai
Phir, na kuchh gehra na hi payaab hai

Lamhon ka khel mukhtasar kya taweel
Kaasa ba dast koi, koi hai jaleel,
Riza khuda ki maan le ‘sahil’
Kisi kaam na saboot na hai koi daleel

Bas, jeene ka hi naam hayaat hai
Shirin zubaan hi saughaat hai,
Nasheb o faraaz e zeest to
Qismat, ittefaaq ki baat hai,
Subh o shaam
Din o raat ki mulaqaat hai,
Mohre hain sab
Zindagi bazeecha e bisaat hai,
Haq ki baaten hoti hain bahot
Woh to bas khuda ki zaat hai

Kuchh dastaras men hai to wohi hai
Humsafar hai Rab yeh sahi hai,
Afsos, samajh men aati hai yeh baat ‘sahil’
Jab, waqt e ikhtetaam ho sach bhi yehi hai

Pa ba jaulaan. Zanjeeron men
Pecheedah. Complex
Tabindagi. Raushan
Taweel. Lamba
Unwaan. Title
Baargaah e maula. Rab ke aagey
Daleel argument. Evidence
Saughaat. Gift
Nasheb o faraaz. Viscissitudes of life
Baazeecha e bisat. Game of chess
Dastaras. Within reach
Waqt e ikhtetaam. The end

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *