Story/Poetry

Naaz o naazish to be sabaat hoti hai

Naaz o naazish to be sabaat hoti hai
Jaise amaavas ki kabhi raat hoti hai

Baarish maaniye yeh ashk assamaan ke
Shabnam to aala saughaat hoti hai

Zulmat na ho to darakhshaan hon kaise
Mah o anjum ki ajab mulaqaat hoti hai

Dil ka dhadakna to saboot e hayaat hai
Aur us shor o ghul men hi qana’at hoti hai

Zubaan to phisalti hai, kya bharosa is ka
Pukhtah to qalam aur dawaat hoti hai

Maut se khauf kaisa woh to muqarrar hai
Zindagi hi aksar bad zaat hoti hai

‘Sahil’, ahd e maazi talkh ho to kya hua
Maazi to yaadon ki baaraat hoti hai

Saughaat. Gift
Zulmat. Andhere
Darakhshaan. Resplendent
Mah o anjum. Chaand. Sitaare
Ahd e maazi. The past
Qana’at. Contentment. Peace of mind
Muqarrar. Fixed
Talkh. U pleasant. Bitter

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *