Yeh nafraten insan ki aaj ped paudon se kaisi
Yeh nafraten insan ki aaj ped paudon se kaisi
Qurbaten yeh batao hain patharon se kaisi
Mat bana lena inhen tum dushman e jaan apna
Yeh dosti ghamon se guzri yaadon se kaisi
Aasaan nahin pighalte sang dil kabhi koi
Koshishen phir rafaqaton ki mahlon se kaisi
Misl e sham’a ho jo be bas hawaaon men aakhir
Gar bujhna ho fitrat to aas umeedon se kaisi
Jawaab, sawaalon men hotey hain pinhan aksar
Umeed yun shadeed phir jawaabon se kaisi
Chaak daaman to yaro kimkhwaab ke dekhiye
Tawaqqo tumhari zar ke libaason se kaisi
Kya na dekhe hain tum ne rang badalte huay
Mahabaten phir kaho mahabaton se kaisi
Jab subh shaam ki daastaan hai hayaat ai shaikh
Teri gufatagu phir mahinon aur saalon se kaisi
Gar sar pe sauda na ho mehfil men kisi ke
‘Sahil’, unsiyat phir kisi ki teri ghazlon se kaisi