‘Sahil’ pak daaman o pak girebaan nahin milta
Sahil’ pak daaman o pak girebaan nahin milta
Kyon insan kahin koi pashemaan nahin milta
Aaj haryaali zamin per, na hai darya ravaan
Neela kahin kyon aasmaan nahin milta
Baashinde bahot hain, haiwaan kum nahin
Kyon kahin bhi kisi ko itmenan nahin milta
Zamana vahm ka shak hi shak, be shak
Pukhta kahin kyon aaj imaan nahin milta
Rab ban ne ki khwahish men haail bahot
Shaikh, raasta jannat ka aasan nahin milta
Aaj aawara hain bande khudaya tere, jinhen
Kisi dair o haram men darmaan nahin milta
Masaayal hain kaise dekh tere jahan men
Kyon kisi ko kahin koi insan nahin milta
Ashok sawhny Sahil