Jaane dil logon ke darakhshaan kab honge
Jaane dil logon ke darakhshaan kab honge
Aur zulmaton se faarigh farozaan kab honge
Gulsitanon ke naam veeraney kab honge
Aur kaante chaman ke baaghbaan kab honge
Hangaame ba pa hain, be hissi ke talatum
Jaane tabaahi se hum aazaadaan kab honge
Kya ab nahin hain aansu nadamat ke koi
Jaane hum phir se pashemaan kab honge
Udaas hain bahot aaj falak men taarey
Koi to batlao woh kehkashaan kab honge
Mezbani hum bhuley aur ghar ki woh raah
Na jaanen ab ‘sahil’ koi mehman kab honge
Ashok sawhny Sahil