Bhale jaan ho tum har mehfil ki
Bhale jaan ho tum har mehfil ki
Ret hi khamyaza hai sahil ki
Kal kya hoga na hoga kaun jaane
Zulmat rahnuma hai mustaqbil ki
Shamsheer to mujrim nahin hoti
Yaro, niyat jaano nigah e qaatil ki
Ek hi ja baste hain donon sach o jhoot
Zabaan hi miyaan hai baatil ki
Sang-dil woh ho hi nahin sakta
Jo samjhata hai dhadkan apne dil ki
Aasaan kya aur kya hai muhaal, kaho
Koi mushkilen bhi to jaane mushkil ki
Jee le ‘sahil’ subh o shaam ye kaafi hai
Ab fikr kyon tujhe kisi mustaqbil ki
Ashok sawhny Sahil