ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Himmat e mardaan, Mard kya hai

Woh muhavara e mardaanagi kya hai
Phir yeh silsila e aawaragi kya hai

Taajir koi shaatir kahin shayar koi
Yeh shatranj ka awwal khilari kya hai

Jisey kehte ho mard wo to akra jakra insan hai
Sar jhukaana na jaane na inkisari kya hai

Ghar pe baithna na jaane, golf ki laathi chalaaye
Bandookon se mahabat, yeh shikaari kya hai

Khaana banana na aaye na sajana jisey
Jo bartan maanjna na jaane wo anaari kya hai

Khaamiyon ka bayaan to zabardast hai tera
Kuchh baaqi ho ‘sahil’ to bol aur kotahi kya hai

Apni hi zaat ka yeh mazahaiya kalaam kaisa
Khud se be dardi yeh be wafayi kya hai

Kya tang aa gaya hai apni mardaanagi se tu
Ab khud se tujhe yeh naraazagi kya hai

Kya himmat e mardaan ab nahin hai tujh men
Khuda se puchh kar hamen batla kami kya hai

Yaro, Rab se kya puchhna jab khawateen hain yahan
Puchh kar bataunga, hum jungliyon ki baat unhen pyaari kya hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *