Jo paak hai so taahir hai
Jo paak hai so taahir hai
Neki se varna baahar hai
Gauhar miley to jaan lena
Gehra farsh e behr hai
Qahr e khuda ki baat kya
Usi ki bhi to mehr hai
Zabaan jitni ho shireen
Utni hi woh sharar hai
Gosha mera tanha hai
Ghar se guzarti nehar hai
Tulu e aftaab ke baad hi
Kiran aur us ki sehr hai
Aaj unsiyat ko bhuli hai dunya kyon
Nigaah men sab ki zehr hai
Anjaam to anjaam hai yaro
Hayat ka bhi muqarrar hai
‘Sahil’, mitaati hai jo naqsh e pa
Woh mauj ki sirf ik lehar hai
Ashok sawhny Sahil