Dekhe hum ne saraab ‘sahil’ khaali jaam men bahot
Dekhe hum ne saraab ‘sahil’ khaali jaam men bahot
Aur andaaz bhi aise vaise aaj dua salaam men bahot
Mukammal kab mila kisi ko, jahan men kuch bhi kabhi
Vaise bhi to khaamiyan hain insan e farjaam men bahot
Kaakh o gulzaar ki shaan o shaukat men shaamil mushkilen
Per saadagi ke nishaan hain zurur lafz e aaraam men bahot
Zameen aasmaan, sood o ziyaan, jaanta hai insan inhen, per
Raaz hain naaseh nihaan be shak, maut ke anjaam men bahot
Kya hoga ‘Sahil’, baad e marg thikana tera tu hi bata
Qayyaas o falsafa hai yaro us lafz e dawaam men bahot
Ashok sawhny Sahil