Barbaraana dekhiye aaj jahan ke deewanon ka
Barbaraana dekhiye aaj jahan ke deewanon ka
Aur kamaal e zabt unki khaamosh zubaanon ka
Haal un ka kya hai jo haal hamara batate hain
Ab tu hi batla najumi hamen haal un sitaron ka
Nasheb o faraaz kya cheez hai kabhi gir kar to dekho
Namuna kya dun tumhen main khizaan o bahaaron ka
Sab kuch fana hota nahin har shai nahin barbaad
Umeed parast to wohi hai jo leta hai lutf tufaanon ka
Gar naqsh e pa mit gaye nishaan na rahe to kya hua
Nigahbaan to nahin hai ‘sahil’ koi maujon aur reton ka
Ashok sawhny Sahil