ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Aaj be iman hai insan itna tahqeeqaat ki parwa nahin

Aaj be iman hai insan itna tahqeeqaat ki parwa nahin
Palat ti hai zabaan itni qalam dawaat ki parwa nahin

Pecheedagi hai kitni, insan ki fitrat men dekhiye
Usey aaj zindagi jaisi saughaat ki parwah nahin

Dimagh kharaab nahin to phir haal kya hai batlao
Jo din men rehta hai be hosh, raat ki parwah nahin.

Be qadr be hiss hai wo talaash jisey manzil ki to hai
Lekin, kis tarah haasil ho is baat ki parwah nahin

Matlabi jahan men to khud gharaz hi hoga insan, yaro
Milte hain log aise maano mulaqaat ki parwah nahin

‘Sahil’, aaj maghrur hai itna insan ke tu bhi dekh le
Jo keh diya so keh diya phir iltefaat ki parwah nahin
Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *