ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Yeh jo aaj insan ka ghurur hai

Yeh jo aaj insan ka ghurur hai
Falak ko yeh na manzur hai

Na garje woh to kya hua
Qahar us ka mastoor hai

Kya rakha hai fitoor men
Sukhi woh jo masroor hai

Yeh jo halki halki dhoop hai
Kamaal is ka surur hai

Nasha mai e naab ka
Kuchh to jaadu zurur hai

Vaaiz, tu hi sach bata hamen
Kya shaamil is men hoor hai

Hai kiran yeh aftab ki ya
Maula ka yeh noor hai

Aaj dil ki dhadkan ne kaha
Sukun fiza men bharpur hai

‘Sahil’, phir maara maari kis liye
Kya insan aisa majbur hai

Kya paison ki hukumat men
Ab vahshat hi dastoor hai

Kya kahun main tumse yaro
Majaazi Rab naqli ghafoor hai

Aisa to na tha yeh zamaan kabhi
Jaane kis ki chashm e baddoor hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *