ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Sumundur paa liya agar to jahan mat samajhna

Sumundur paa liya agar to jahan mat samajhna
Aur hirs o hawas ko tum armaan mat samajhna

Jo patakta hai sar apna bhook ke wo maare
Us bechaarey insan ko haiwaan mat samajhna

Taqreeren be shak dil chasp hon per, intebah
Un alfaaz ko kabhi tum irfaan mat samajhna

Falsafe ki dosti siyasat se nahin hoti, magar
Tum ahl e siyasi ko nadaan mat samajhna

Zabt e sukhan ko to firasat hi maaniye
Kh-mosh insan ko be zubaan mat samajhna

Ghar bulbul ka chaman men to kehlata hai qafas
Tum ashiyaan ko apne zindaan mat samajhna

Jalte dil ka anjaam aksar raakh hi hota hai
Dil ke dhuen ko kabhi fughaan mat samajhna

Yaro, khaar to khaar hai usey khaar hi maanana
Bina gul ki ijazat tum nigahbaan mat samajhna

Samar ke baar se shajar bhi jhukta hai dekh ‘sahil’
Tum raunaq e kaakh o gulzaar ko shaan mat samajhna

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *