Aafaten kya aur kya gardishen
Aafaten kya aur kya gardishen
Anjaam to sabka hain naalishen
Faasle sab aur ulfaten
Hain dooriyaan aur qurbaten
Dasht e tanhayi aur sohbaten
Alag qism ki yeh mehfilen
Maayal zubaan hai kis taraf
Bunyaad iski hain niyaten
Himmat e mardaan hai shai nahin
Asl himmat ka naam hai auraten
Aaj zulm o sitam jahan men sab
Hain mardon ki yeh nematen
Sudharen gar yeh harkaten, apni
Tab milen Rab ki inhen barkaten
‘Sahil’, aasaan aur kya mushkilen
Chal, pehle jeene se to nimat len
Ashok sawhny Sahil