Yaro, gar jeetne ki baat sochen
Jo haasil hai tumhen nadaan, usey raegaan phir ganwana kyaHaisiyat sab ki ek hai, khuda e paak ke hain bande sab
Ek musht e ghubaar hai insan jab, phir mitti ko mitana kya
Jo raaton ko milne aate hain, neendon ki badaulat woh
Un khwabon ki taabeer karo, umeedon ko sulana kya
Jo khilne se inkaar karey us gul ko phir sajaana kya
Jo baat baney per sudhre na us baat ko phir banana kya
Himmat e mardaan ki baat na bhooliye logo kabhi
Jo halki hawa se bujh jaaye, us sham’a ko phir jalana kya
Chashm num, bheegi palken, ab haal e dil mat puchhiye
Naam khushi ka na ho jahan, wahan gham ko phir rulana kya
Aaj roothe huay rishton ko, bahot kathin hai manana jab
Jo qafas khol kar chali gayi, us andaleeb ko bulana kya
Zameer jis ka zinda ho, us khush naseeb ko jagana kya
Jo momin ke dil men basta hai, usey momin se milana kya
Ab chal ‘sahil’ kahin aur chalen, jannat nahin dozakh sahi
Jo sunte nahin hain baat kisi ki, un be dilon ko sunana kya