Karta hai chhalkta jaam nuqsaan bahot
Karta hai chhalkta jaam nuqsaan bahot
Karta hai tang sabko yeh armaan bahot
Zamaane achhe burey nahin hotey yaro
Bas badalta hai rang apne insan bahot
Dekha, Parkha jaana bhi tujhe khub, magar
Ai jahan khuda ke, tu phir bhi anjaan bahot
Sukun chahiye sab ko har aan zurur, lekin
Sukunat men dunya hai sunsaan bahot
Baat pukhtagi ki apni jagah hai magar
Budhaape men hilta hai imaan bahot
Maazi bhi yaad yehi dilata hai yaro
Kabhi jeena bhi lagta tha aasaan bahot
Vazn saare uthaye hain main ne, ‘sahil’
Per ab to zindagi hi lagti hai giraan bahot
Ashok sawhny Sahil