ENTERTAINMENTINDIALIFESTYLEStory/Poetry

Silta nahin hai yaro bheega jo daaman hota hai

Silta nahin hai yaro bheega jo daaman hota hai
Aur dhulta nahin hai chaak jo daaman hota hai

Mahabat,chahat, nafrat sab ehsaas o jazbaat bas
Qurbaton se hi rishtah aur apnapan hota hai

Asliyat jahan ki to momin hi jaanta hai vaaiz
Haqeeqat se door to bas takhmeen o zan hota hai

Marasim ke andaaz o dastoor munfarid maaniye
Tukhm ke khaak men milne se hi gul gulshan hota hai

Mit jaaye hasti to us ka la pata hona zururi to nahin
Baad e marg zinda rehna ‘sahil’ to ik fan hota hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *