ENTERTAINMENTINDIAStory/PoetryTRENDING NEWS

Khuda khush

Khuda khush,
Insan shaadmaan
Varna,
Be haal donon
Aur pareshaan Jahan

Qahr e khuda
Bhi zururi hai
Us ki
To yeh majburi hai

Jab insan na suney
Na maaney baat uski
Phir woh kya karey
Pyaar se samjhaye

Na samjhen hum baat
Tab karey din ko wo raat
Mulazim sab us ke
Unse phir ho
Hamari mulaqaat

Naamon se unke hum
Aagaah hain sab
Tufaan o talatum
Karen jaan wo ba lab
Nafarmaani hai ‘sahil’
In sab ka sabab

Sun le, ai bande
Khuda tu nahin hai
Majazi bhaley ho
Javed tu nahin hai

Maut humsafar teri
Hum be waqoof hain,
Jitne hoshyaar
Us se zyada “Goof” hain

Na sahi urdu
Angrezi bhi chalegi,
Na chalegi kuch
To jaan le, ai nadaan
Teri gustaakhi, teri man maani
Khareed o farokht
Har baat pe “Dukaani”

Dil men khuda hai
Dukaan us ki aala
Har subh uth ke kar le
Usi se tu sauda

Tu jiyega zeest apni
Raah uski hogi
Zameer ki sunega
To Jeet teri hogi
Karega khuda teri
Dekh kar tujhe
Teri “prashansa”, tera “praise”
Sataish teri, milega tujhe “raise”

Samajh le ai insan
Is baat ko zara
Tu girgit hai aala
Aur,
Khuda sab se “baala”.

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *