Kaash yeh dil hasraton ka sudhar jaaye kabhi

Kaash yeh dil hasraton ka sudhar jaaye kabhi
Phir taskeen raah badal kar idhar aaye kabhi

Zururi hai ravaani rukey waqt ki bahot, maana
Baar thahre huay lamhon ka guzar jaaye kabhi

Ya Rab kaash saadagi insan ki laut aaye kabhi
Aur yeh vahshat tere jahan ki thahr jaaye kabhi

Amn o chain tu kidhar hai hamen pata to bata de
Miley aaraam dil ko agar tu kahin nazar aaye kabhi

Kya mumkin hai yeh ujda jahan sudhar jaaye kabhi
‘Sahil’, sadiyon men nahin jald sanwar jaaye kabhi

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *