Sahil’, aaj saboori nahin hai mahabat kyon nahin
Sahil’, aaj saboori nahin hai mahabat kyon nahin
Rishton me bas gard o ghubaar unsiyat kyon nahin
Nafrat to jazba insani hai mazhab ko kyon laate ho tum
Logo, khuda se is ka kya vaasta insaniyat kyon nahin
Hindu na Musalman koi Sikh na Isayi insan hain sab be shak
Hua karti naamon se pehchaan kabhi ab woh raghbat kyon nahin
Aaj khushiyon ke mushtaaq hain sab shaamil honey ko tayyaar
Batlaaye , samjhaaye koi hamen bhi yeh ranjish men nisbat kyon nahin
Ye kyon kyon teri tu samjha ai anaari shayar ‘sahil’
Shahenshah tu kyon nahin aisi teri qismat kyon nahin
Ai daanishmandon tum sawaal woh bhi ek anaari se
Kuchh to socho bewaqufo taskeen tumhari qismat kyon nahin
Ashok sawhny Sahil