Dhanak ko dekhiye
Dhanak ko dekhiye
Rangon men pyaar hai
Kaho insan ko aaj kya hua
Salaam na guftaar hai
Hangame ba pa jidhar dekhiye
Kahin talwar to koi sawaar hai
Insaniyat hi dafn ho rahi hai
Afsos, isi men insan ki haar hai
Javidaan to nahin hai koi ‘sahil’
Zindagi hi jab musta’ar hai
Yeh daur e khizaan bhaari parega
Per kehte hain sab aaj nau bahaar hai
Sahil pe khade ai tamashyi sun
Jaana sabko us paar hai
Kyon banta hai tu raaegaan bata
Qaatilaana aur khud gunahgaar hai
Maasumiyat ko kya hua, kaho
Ya Rab kis waqt ka tujhe intezaar hai
Tabaahi ne ghera hai jahan ko tere
Khudaya bata kaun qusurwaar hai
Zimma tera hai , ai maalik mere
Tu nahin to phir kaun zimmedaar hai
Tera jahan, kaaenaat yeh teri
Yeh majazi khudaon ko dushwaar hai
Tu hi bacha le isey Khudaya
Yeh tera hi honahaar hai
Sar nigoon na sahi, maghrur banda
Ashok sawhny Sahil