Ab neend chahiye mujhe khwaab nahin
Ab neend chahiye mujhe khwaab nahin
Nasha magar koi sharaab nahin
Miley sahra men nakhlistaan mujhe
Koi vaada e baatil e saraab nahin
Sahib e sukhan ki jagah apni hai yaro
Per husn o tabassum ka to jawab nahin
Dil dhadkta chahiye zindagi ko zurur
Magar, dhadakta dil betaab nahin
Daulat apni ka hisaab jaante hain sab
Per, waqt hai kitna kisi ko hisaab nahin
Nazara chaman ka hi kaafi hai bahot
Ab darkaar mujhe saman o gulaab nahin
khushi bhi thodi si kabhi milti rahey
Ab aarzu meri koi zabardast sailaab nahin
Ibadat khuda ki to farz hai yaro
Sawaab milta hai lafzon men jawaab nahin
Tere shukr ka ek misra hi kaafi hai, ‘sahil’
Rab ki mehr ka to hota hai koi hisaab nahin
Ashok sawhny Sahil