Gar doob jaaye sahil to kya
Gar doob jaaye sahil to kya
Na rahey yeh mehfil to kya
Umr bhar na bhare, nasoor rahe
Zakhm na ho mundamil to kya
Be taab ho jaan, tadapti ho rooh
Pur sukun na ho dil to kya
Chalte raho safar hai yeh, yaro
Khisakti rahey manzil to kya
Zaamin nahin hai saanson ka koi
Jeena ho mushkil to kya
Mehrbaan ho falak, chaah yeh sab ki
Per naraaz ho aasmaan to kya
Miley na fursat din ko tumhen
Aur raat ko tadpe jaan to kya
Milta nahin hai kul jahan kisiko
Qabuliyat no ho aasaan to kya
Jeena to phir bhi hai ‘sahil’ mian
Bhale ho woh raaegaan to kya
Ashok sawhny Sahil