Mujhe saath kyun na le gaye chhord ke jaane wale
Mujhe saath kyun na le gaye chhord ke jaane wale
Kuchh to socha hota ai neenden churaane wale
Hum khwabon men jiyen to kaise aur kis tarah
Maqtal men to nahin rehte hain sulaane waale
Faraar hui bulbul per qafas ka dar khula kyun tha
Ab kahan se layega baghbaan geet sunane wale
Maayus kun hain gul, aajiz hain khaar bhi saare
Kya num chashm aayenge ab yahan sair karne wale
‘Sahil’, dil be qaraar hai, udaas o betaab, magar
Paida na huay koi hum ko mitaane wale
Ashok sawhny Sahil