ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Jaanaan, rukhsati khizaan ki hai, bahaar hi bahaar hai

Jaanaan, rukhsati khizaan ki hai, bahaar hi bahaar hai
Kyon munh banaye baithe ho kaho kis ka intezaar hai

Khalwat ka lutf to apna hai, yeh durust maana hum ne
Per lagta hai ke ab tumhen, khud se bahot pyaar hai

Dil aur zahn ka rishta to, hai naazuk woh bahot
Darmiyaan donon ke ik, jab sheeshe ki deewaar hai

Kabhi dhadakte dil se puchhiye raftaar us ki hai kya
Woh ginta nahin hai dhadkanen, dil jiska pur qaraar hai

‘Sahil’, mashwara hi maan le, buzurg ki salaah isey
Ji le zeest tu is tarah goya zindagi udhaar hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *