Waqt e ikhtetaam hai
Waqt e ikhtetaam hai
Labon pe Ram Ram hai
Neend aaye to so jao yaro
Usi men sukoon o aaram hai
Dil men Rahim o Ram hai
Dua aur salaam hai
Ladkhadaate hain qadam
Peeri is ka naam hai
Amn o chain payaam hai
Mai naab ka jaam hai
Pareshan kyon hai insan aaj
Ram to sar e baam hai
Aaghaaz bhi to Ram hai
Safar aur farjaam hai
Fana se kya khauf ‘sahil’
Woh to zeest ka anjaam hai
Zeest. Life
Fana. The end
Farjaam. Anjaam. Khush qismati
Aaghaz beginning
Sar e baam roof top
Mai e naab. Divine wine
Payaam messge
Peeri. Old age
Ikhtataam. End
Ashok sawhny Sahil