Har dil men ik mehmaan hota hai
Har dil men ik mehmaan hota hai
Jo aksar bilkul anjaan hota hai
Yun maaniye hamare aakhiri dum tak
Hum zameen woh aasmaan hota hai
Woh kaun hai woh kya hai
Kya hum se behtar insan hota hai
Hum kyon nahin jaante hain usey
Hamare andar woh kahan hota hai
Khud ko dhundte phirte hain hum
Jab hamare yaan woh mehman hota hai
Jis khud ko dhunte hain hum yaro
Wohi to hamara mehman hota hai
Kyon ke khud ko pehchaante nahin
Woh mehmaan ik armaan hota hai
“Sahil” is men fahm o zaka ki baat kya
Jo khud ko jaan le wohi irfaan hota hai
Ashok sawhny Sahil