Shaadmaan ho mehfil yeh laazim to nahin
Shaadmaan ho mehfil yeh laazim to nahin
Ho ranj o gham mustaqil yeh laazim to nahin
Dil bhi to sab ke ho jaatey hain veeraan
Per har ja ho jangal yeh laazim to nahin
Gulshan ki mehmaan hai bulbul zurur, per
Gaaye geet wo musalsal yeh laazim to nahin
Tulu e subh ka hona to laazim hai, magar
Ham sab ka ho kal yeh laazim to nahin
Haq dua ka hai sab ko be shak, lekin
Ho jaaye wo qabool yeh laazim to nahin
Udhaar le kar aya hai zindagi, ‘sahil’, per
Ik sadi ho mukammal yeh laazim to nahin
Ashok sawhny Sahil