ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Jab khadey ho sahil per to darne ki baat kya hai

Jab khadey ho sahil per to darne ki  baat kya hai
Jab zeest hi fana hai phir marne ki baat kya hai

Milna jab hai khaak se to takalluf phir kis baat ka
Waqt e imhtetaam ho to uthaane ki baat kya hai

Soz e gham ho labrez aur dil maayus kun bahot
Us dil ko tab kahin lagaane ki baat kya hai

Aasaan nahin hai jeena, saans lena bhi nahin
Kaho giley shikwe phir karne ki baat kya hai

Aaj saaf paani mil jaaye bahot kaafi hai ‘sahil’
Jaam o subu ki yaad daurahne ki baat kya hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *