Koi gham se mila de chashm e num se mila de
Koi gham se mila de chashm e num se mila de
Pindaar e mahabat, us sanam se mila de
Hum bhi khwahaan hain deedar e dunya ke
Koi gosha dikhla de jaam e jam se mila de
Bikhri hai dunya aur bikhre hain hum bhi
Raaton ki neendon ki marham se mila de
Har marhala e shauq se guzar chuke hain
Umeedon ke ab maatam se mila de
Mundamil huay hain nasoor woh saare
Ab koi to lazzat e zakhm se mila de
Be khudi yeh kaisi bhoolen hain khud ko
Koi hum ko bhi ‘sahil’ kabhi hum se mila de
Ashok sawhny Sahil