ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Jaavidaani to faqat saraab hai, ek khayal e khaam hai

Jaavidaani to faqat saraab hai, ek khayal e khaam hai
Bhaley baharon men guzre zeest, khizan hi anjaam hai

Ruk jaaye nafas to phir baqa nahin hai qaza woh hamari
Jab shams o qamar rukte nahin to phir kya dawaam hai

Taskeen o aaraam na miley kisi muztar man ko kabhi
Taare deekhte hain zamin se, kya hua gar dar o baam hai

Chaman naraaz hai mausam se aur bulbul se baaghbaan
Kyon koste ho taqdeer ko apni zamane ka naam ilzaam hai

Qalb e be taab, be sukoon, insan yeh to bata de hamen
Justaju kis shai ki jab nishaat o farhat zeest ka naam hai

‘Sahil’, kya hai kya nahin yeh baaten sab falsafe ki
Dil o dimaagh ko samjha le pukhtah, sab Rab ka nizaam hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *