Wo ja bata naaseh jahan bikti ho taskeen
Wo ja bata naaseh jahan bikti ho taskeen
Itna muztar hai insan kya karen aafarin
Sheesha na saaghar na Saqi koi
Aur kehte ho tum khumgah haseen
Mai e naab pilao bin Saqi ke yaaro
Phir baney haseen yeh aala zameen
Zawaal hua aisa ke hota hai ta’ajub
Kaise kehte hain log aafarin aafarin
Kyon bhoola hai tu aaj badli hai dunya
‘Sahil’, nahin hai ab wo imaan o deen
Bhej tu khudaya ab paighambar koi
Zururat hai jahan ko, ameen aameen
Ashok sawhny ‘Sahil’