Us insan se milao jo zameer se aaj sharminda ho
Us insan se milao jo zameer se aaj sharminda ho
Dil men jis ke aaj bhi pindaar e ulfat zinda ho
Badle hain is zamaane men dil ke taur tareeqey bhi
Mahabat ki zanjeeron se dikhlao jo kul bandha ho
Miley tum ko banda aisa khabar karna hamen zurur
Aaj kahan milta hai koi aisa itna jo paakeeza ho
Raushan dil se puchhiye taareeki ka mafhoom
Chaahiye jisey na sham’a koi bhale khub andhera ho
Mehr o maah se kar ilteja, sun len shayad sada teri
“Sahil” khatm ho yeh raat aaj, kal phir naya savera ho
Paakeeza. Pure
Pindaar e ulfat. Pride of love
taareeki. Andhera
Mafhoom. Matlab
Mehr o maah. Sun n Moon