ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Jawaan hai raat ab sehar na ho jaaye kahin

Jawaan hai raat ab sehar na ho jaaye kahin
Ashkon ka darya ab behr na ho jaaye kahin

Yaro, nasheb o faraaz hai naam zindagi ka
Sambhaalo, idhar udhar na ho jaaye kahin

Muztar tabiyat, anjaani hai niyat sab ki
Ilteja Rab se, bad tar na ho jaaye kahin

Raqibo, kahin meem ka qaaf na ho jaaye
Mehr khuda ki ab qahar na ho jaaye kahin

‘Sahil’ tu falsafi hai shaair nahin,  dost
Teri shayari be behr na ho jaaye kahin

Sehr. Morning
Behr. Ocean
Nasheb o faraz. Vicissitudes
Muztar. Restive
Qahar. Wrath
Falsafi. Philosopher
Be behr. Without rhythm

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *