ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Jab naam tera be muhaaba hai

Jab naam tera be muhaaba hai
Phir khauf ho mahz khuda se
Insan se kya darna bande
Woh to khud darey hai fana se

Husn o jamaal e chehre se
Na hoti hai woh fida se,
Hoti hai pukhtah mahabat to
Hoti hai sirf wafa se

Kaifiyat miley khumgaah men zurur
Lazzat jalwagaah se
Per kuch nahin hai badh kar, yaro
Saadagi ki qaba se

Kisi kaasa ba dast se puchho kabhi
Kya milta hai usey kaasa se
Kya samajhta hai usey woh bheek koi
Ya jeene ka sahara khuda se

Kaun hua hai pareshan kabhi
Ek jhonka e baad e saba se,
Lagte hain zakhm sab ko sirf
Unhin ki apni udti ana se

Husn e hunar to sab pe hai
Kya hota hai naaz o ada se,
Bartar nahin hai kuchh bhi ‘sahil’
Us Maula ki mehr o riza se

Be muhaba. Undaunted. Fearless
Mahz. Sirf
Pukhtah. Pukka
Khumgah. Maikada
Qaba. Dress
Kaasa ba dast. One carry begging bowl
Saba morning breeze
Ana. Ego
Hunar. Skills
Naaz o ada. Nakhre. Style
Mehr. Mercy
Riza. Marzi

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *