sahil’, dil men jhaank
sahil’, dil men jhaank
Dil men la makaan milega,
Takta rahega sitaron ko
To sirf aasmaan milega
Majaazi khuda milenge
Na rahnuma koi,
Ghamgusaar nahin
Na humnawa koi
Baat hisaabon ki hogi
Daulat ki shumaar,
Saqi bhi maikade men
Dost na kisi ka yaar
Waqt nahin hai paas kisi ke
Fursat na neeyat kisi ki,
Unsiyat ko bhoolen hain log
Nek nahin hai tabiyat kisi ki
‘Sahil’, ab la makaan ko hi pukaar
Sada teri sunega kaun
Hai insaniyat pe aaj khula waar
Bikhri laashen ginega kaun
Roti maaon ke chehre dekh
Chashm num nahin sumundur dekh,
Dhadkan dil ki be suri
Khaanon ke kabhi tu andar dekh
Ashok sawhny ‘Sahil’