Qadr auron ki na ho to qusur ilm ka hai
Qadr auron ki na ho to qusur ilm ka hai
Aaj zamaana hi mizaaj e barham ka hai
Taqaza to umr ka ya phir ilaaj ka hai
Qusur chaarahgar ya marham ka hai
Dil roney per main kh- mosh hi raha
Dagha to yaro num chashm ka hai
Aarzu, tamanna, woh hasrat ab kahan
Shauq bhi aaj kuchh kum kum sa hai
Yaqin hai mohkam, imaan bhi pukhtah
Per, sawaal to us bala e vahm ka hai
Munfarid hai Rab phir bhi us per jhagre
Ma’bad ho koi, muamla to ahm ka hai
Peeri bhi ‘sahil’ zaalim hai bahot
Sawaal bas himmat ya dum ka hai
Ashok sawhny ‘Sahil’