ENTERTAINMENTTRENDING NEWS

Nahin chahiye ulfat men ruswayi mujhe

Nahin chahiye ulfat men ruswayi mujhe
Bhaley karni padey kuchh jabbasayi mujhe

Dekha jab bhi main ne suraj ko nikalte
Teri surkhi e lab, jaanaan, yaad aayi mujhe

Sunta hun jab bhi main naghma tera
Samjho bulbul ne ghazal ek sunaayi mujhe

Jab kabhi main bhatka sahi raaston se kahin
Mere zameer ne hi raah phir dikhlayi mujhe

Kotahi bahot hai wafayion men aaj
Rasmon, qasmon, ne yaad dilayi mujhe

Dil naazuk hai, ya Rab, tu to jaanta hai sab
Koi de na kabhi bas duhayi mujhe

Nibhaya na vaada to paimaan kya hua
Paimaan shikani ne ‘sahil’ baat samjhayi mujhe

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *