Jalwe shauhrat ke nahin taskeen chahiye
Jalwe shauhrat ke nahin taskeen chahiye
Kya milega aasmaan se zamin chahiye
Pareshaan sa insan dekhiye jidhar chaho
Bina shikan ki apni jabeen chahiye
Kuchle bhi jaayen to kya hua phir
Khaak ko bas do gaz zamin chahiye
Jaanti hai rooh, manzil woh musafir
Isi liye usey hablul mateen chahiye
Khaak hai, ‘sahil’, jaanta hai baat zurur
Ab khaak hi se usey aafarin chahiye
Taskeen. Aaraam
Bina shikan, without furrows
Jabeen. Maatha. Forehead
Hablul matin. Strong rope, God’s rope
Aafarin. Praise
Ashok sawhny ‘Sahil’