Imtehaan hai zeest baat imtehaan ki karo

Imtehaan hai zeest baat imtehaan ki karo
Taraqqi ki nahin baat zaeef dahqaan ki karo

Dard e dil dard e jigar baat darmaan ki karo
Be imaan hai insan, baat imaan ki karo

Kya kuchh nahin batorte hain hayat men sab
Le jaoge jo saath baat us saamaan ki karo

Chhat nahin hai sar pe jis ke us ka socho
Tanha jo falak men hai baat la makaan ki karo

‘Sahil’, jal raha hai jahan fikr hai kisey
Rang ufaq ka badla hai tum baat aasmaan ki karo

Zaeef dahqaan. Old feeble impoverished
Darmaan.  Dawa ilaaj
Chhat. Roof
Falak. Aasmaan
La makaan.   God , without roof over head
Ufaq. Horizon

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *