Gham e dil ke aansu dil men chhupa lo
Gham e dil ke aansu dil men chhupa lo
Inkisaari men nazren tum apni jhuka lo
Behte hon ashk gar sumundur ki maanind
Unhen baarish ki boondon se ja kar mila lo
Bahal jaaye gar dil to aur kya chahiye
Kuchh waqt ke liye kuchh khushiyan mana lo
Kab talak karoge dil apne ko pareshaan
Kabhi daastaan tum apni kisi aur ko suna lo
Masroofiyat hai sab ki jeene men hi, ‘sahil’
Na sunana chahey koi phir mujhe hi bula lo
Inkisaari. Humility
Maanind. Jaise
Masroofiyat. Being busy