ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Yaro, udna kaam hai parindon ka

Yaro, udna kaam hai parindon ka
Pairon ko tum dilao zameen
Parwaaz karo to duaon men
Aur dil ko tum dilao taskeen

Be sabaat si is zindagi men
Karo har lamhe ka shukriya
Ik jhonka saba ka hai naam jis ka
Us subh ka bhala hai thikaana kya

Jo basar ho jaaye shab neendon men
Khwaabon aur saraabon men
Usi ka naam to chain hai, logo
Kya rakha hai soney ke mahlon men

‘Sahil’, na aaye farq gar nazar tujhe
Raushan raat aur ujaalon men
Mai e naab se jaam khayalon ka
Ja kar bhar le phir pyaalon men

Bada hai bahot jahan khuda ka
Log yahan tujh se hain hoshyaar
Sab ko samajh kar kya karega
Bas, khud ko jaan le bahot kaafi hai yaar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *