Yaro, aasaan hai Urdu bahot aasaan

Yaro, aasaan hai Urdu bahot aasaan
Phir Ghalib batao kyon hai pareshan
Kyonke karte hain alfaaz us ke qaareen ko
Kuchh zururat se zyada hi hirasaan

Mir ka sheva e guftaar kuch aur hi tha
Faiz o Faraz ki baat hi kya
Daaman pe Daagh to lagte hi hain
Atish na ho to phir raat hi kya

Rumi ko Urdu to aati na thi
Iqbal samajhta hoga woh Faarsi
Gham e Firaq to Firaq hi samjhe
Nasikh aur Atish ki to banti na thi

Sahir, tha jaadugar kamaal
Jaun, ki baat bhala karni kya
Khusrau to tha tuti-e -Hind
Bin Bulleh o Kabir shab sanwarni kya

Anasir men hona zuhoor e tarteeb
Chakbast ne kaha sab ne maana
Be mauqe ki baat nahin hai maut
Kunwar Bedi gaye, hai sab ne jaana

Sauda mahabat ka mat kijiye
Saudayi junoon hai fuzul ki
Parween Shakir na pasand ho jisey
Phir qaaeda usey padha dijiye

Kitna zaalim tha dard, Mir Dard se pucchiye
Ya Allahabad ke awwal Akbar se,
Rind kitna kharab Zauq hi bataye
Aur shakeel to they Badayun se
Mareez e Ishq to woh jaanen.

Qateel ke to sadqe jaayen
Maqtool ho to aisa,
Rahat miley Indori ko, aur
Koi momin na hua Momin jaisa

Ali Sardar to Jafri they
Jafri to Ada bhi thi,
Amir Meenai ki be misaal beenaayi
Yaro, yeh fehrist bahot taweel hai
Bas, koi intekhaab na kiya ‘sahil’ ne
Jaise yaad aaye unhen pesh kiya

 

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *