Sukun ki hoti justaju gar be qaraar hota
Sukun ki hoti justaju gar be qaraar hota
Umeed ka sawaal uth ta gar intezaar hota
Bant gayi hai dunya mazhab ke azaab se
Kaash, is ke ghalat istemaal ka mismar hota
Gham bant ta nahin to kya kijiye kaho
Kaash, fitrat insaan ki men ghamkhwaar hota
Paimaan shikan nahin vaadon ka main pukhta
Haaye, kisi per mujhe kuchh aitbaar hota
Lutf e jaam o subu tujhe hum seekhla dete
Gar sufi nahin tu ‘sahil’ baada khwaar hota
Azaab. Calamity
Mismaar. Destruction. Ruin
Fitrat. Nature of humans
Paiman shikan. Promise breaker
Pukhta. Pukka
Jaam o subu. Cup goblet
Baadakhwar. Sharabi
Ashok sawhny ‘Sahil’