ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Manzil Maujon Ki

Manzil Maujon Ki

Jis mauj ko manzil na mili
Sumundur men jo doob gayi
Tishnagi na mitaayi ret ki
Aur kinara jisey na mila
Sahara haasil na hua
Mel na sahil se koi
Us mauj ki baat ab karni kya
Daastaan us ki mukhtasar
Hayaat uski be khabar,
Manzil uski thi bhi kya
‘Sahil’, kahani us mauj ki suna

Yaro,
Kaun jaane aaghaaz us ki
Shayad qatra thi barfon ki woh
Rishta uska kohsaaron se,
Tapish aftab ki jab mili
Pighli jab woh barf ki dheri
Qatra mila qatre se
Bana darya phir woh qatra
Shaamil us men woh hua ,
Manzil us ki na chaah koi
Mila darya jab sumundur se
Paida woh mauj hui
Zindagi qatre ki khatm hui.

Manzil kya hai hayaat ki
Faani hai jab zindagi
Qatra ya woh mauj thi
Kh- mosh woh be sada thi,
Shor o gul sumundur ka
Pareshaan us hangaame men
Behti rehti hain sab maujen,
Maujen manaati hain sab maujen
Dars o sabaq shaamil hai
Insan wohi kaamil hai
Samjhe jo is baat ko ‘sahil’
Saraab hai kul har ek manzil.

Jeena hai bas jeena hai
Jaisi aaye jaisi miley
Hayaat isi ko kehte hain
Tasleem men hi taskeen hai
Manzil sab ki to zameen hai.

Ameen.

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *