Manaya tha dil ko per dil maana nahin
Manaya tha dil ko per dil maana nahin
Kaha, raah e khuda per mujhe jaana nahin
Kaha, raah e khuda per mujhe jaana nahin
Samjhaya bujhaya khuld kya hai batlaya
Per, ghair maail us dil ne kuchh suna nahin
Aawaara ho dil to kaho kya kijiye
Sahi raasta to koi hamen mila nahin
Dua ki khuda se, dil, dil ka badal de
Magar us se bhi mila koi sila nahin
Saamna kiya tu ne un mushkilon ka kyon
Dil ki baat, ai nadaan, kyon maana nahin
‘Sahil’ kya milti nahin hai tujhe haseena koi
Tujh jaisa to aashiq, koi deewaana nahin
Deewaana zurur hun per khuda ka yaro
Aur ab waqt bhi to saath mera deta nahin
Ghair maail. Disinclined
Khuld. Heaven
Sila reward recompense
Ashok sawhny ‘Sahil’