Vaada kiya main ne aaj apne hi zameer se

Vaada kiya main ne aaj apne hi zameer se

Na hilunga main kabhi yaro sach ki lakeer se

Jhagre fitne tark kiye apnaya sukun ko main ne

Shireen hogi meri guftagu ab adu o zaheer se

Rashk nahin faqeer ko ameeri se koi, phir

Kyon dekhta hai ameer magar, us ko tehqeer se

Naazuk hotey hain dil bahot aur jazbaat be sakhta

Shaikh, jeetey nahin jaatey dil kabhi kisi taqreer se

Yeh aasaan sa falsafa hai samajh le tu, ai bande

Baadshah banega tu man men apne, phir faqeer se

Khwaab nahin hai zindagi, raaste nahin humwaar

Kisey mili kaamyaabi koi khwabon ki taabeer se

Aks per aitbaar kaisa, saayon se kya umeed

Soorat se seerat ki pehchaan hoti nahin tasweer se

Kya hua kaise hua kyon hua, fuzul ke hain sawaal

Aaqil hai wohi jo na karey mazeed sawaal taqdeer se

Qissa aamad o raft ka hai yeh roodad e zindagi

Yaqin nahin to puchhiye kaarwaan ke meer se

Sochta, likhta, padhta reh tu ai, ‘sahil’, zurur

Ban jaaye tu bhi falsafa shayad, kabhi dabeer se

Zameer. Conscience

Tark kiya. To give up

Shireen. Sweet

Guftagu. Baat cheet

Adu. Dushman

Zaheer. Friend

Rashk. Jealousy

tehqeer disdain

Jazbaat. Emotions

Be sakhta. Spontaneous

Falsafa. Philosophy

Humwaar. Level

Taabeer. Interpretation

Aks. Reflection

Seerat. Disposition

Aaqil. Wise hoshyaar

Mazeed. Zyada

Aamad o raft. Aana jaana

Roodad account of

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *