Jaanam, zulfon ko hatao to koi baat baney
Jaanam, zulfon ko hatao to koi baat baney
Kal ki raat ko phir se bulao to koi baat baney
Jagaata hai subh ko naghma bulbul ka roz
Tum daastan shab ki sunao to koi baat baney
Jaane roothi hai hum se fiza aaj kyon
Tum saanson se jhulao to koi baat baney
Jannaan, mahabat ki baaten to karte hain sab
Tum pyaar kar ke dikhlaao to koi baat baney
Humsafar ho meri humnawa bhi hi ho tum
Ab gaam se gaam milao to koi baat baney
Jalna to muwafiq nahin aata hai kisi ko
Jalti sham’a ko bujhao to koi baat baney
Naaseh, dete ho dars faraaiz ke hamen
Kitab e ishq ab padhao to koi baat baney
Haazir hona hai sabko baargaah e khuda men
‘Sahil’, mehfil zamin per jamao to koi baat baney
Ashok sawhny ‘Sahil’