Story/PoetryTRENDING NEWS

Ji chahta hai ab daastaan e hayaat sunaane ko

Ji chahta hai ab daastaan e hayaat sunaane ko
Per, bulayen kisey jab tayyar na ho koi aane ko
Jab rooth jaati hai yeh dunya baat baat per aaj
To dil apna bhi nahin chahta hai phir manaane ko
Naraaz bulbul, yaas hain gul, baat baghbaan ki kya
Kya khaaron ko den hum daawat ab gungunaane ko
Baaten khud se na karun to kehiye kis se karun
Dosto, ji mera bhi ti to chahta hai dil behlaane ko

Aayena to aaj hamen bhi nahin pehchaanta hai

Aayena kya dikhlayen hum is badle zamaane ko
Ho sukun pur gar dil aur ahistah ho dhadkan
Us jee ka nahin karta hai phir kuchh bhi bolne ko
Har dil men hoti hai tamanna yeh zabardast

‘Sahil’, shab ke baad subh ko khush amdeed kehne ko
Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *